Expiry Date on Note : sab Notes par agar 5saal ki samay seema tay ki jaaye to?





Karnataka ke udupi shehar ke 10vi kaksha me padhane wale ek ladake ki oonchi soch ka video viral
iss video ko dekhne ke baad aap apni raay den
Kuch jyada-Kam har cheej ki expiry date hoti hai, usski taarikh tay ki gai hoti hai ke iss taarikh ko ye expire ho jaayega, lekin paison ki taarikh yane jo market me chal rahe notes ki expiry date kyuon nahi hoti hai?
chalan me jo note hain agar usspar expiry date print ki jaaye to?, log apne aap bank jaake unn notes ko jama karvayenge, ghar me rakhane ki koshish nahi karega, unn notes ko har koi bank me jama kardega.
sab notes par agar 5saal ki samay seema tay ki jaaye to?, agar aisa kiya jaata hai to sub notes bank me jama honge aur kala dhan pighal jaayega, Ye to ek badiya soch hai,
iss tarike ko agar yaane expiry wala system agar lagu kiya jaaye to black money ko roka jaa sakta hai, expiry date agar notes par print kiya jaay to log notes ko chupa ke rakhana chod denge aur har koi bank me jamana shuru kardenge, aise dekha jaye to ye ek bahot badiya soch aur tarika hai lekin expiry dates hone ki waja se note ko baar baar print karna padega iss waja se note printing ka kharch bhi bahot hoga, doston iss bareme aap ki kya raay hai hamen kament me jaroor bataye, kay aisa kiya jaasakta hai? kya iss tarike ka kanoon sarkar laa sakti hai? ek baat to sach hai agar sakar aisa koi kadam uthati hai to black money ka naam o nishaan mit jaayega to doston iss video ko jyada se jyada share karen aur apni raay jaroor batayen aur doston video like karen aur aapne abhi tak hamare channel ko subscribe nahi kiya hai to subscribe karen aur bell icon bhi press karen dhanyavaad 

Post a Comment

0 Comments